Ehd-e-Wafa OST By Rahat Fateh Ali Khan

 











Ehd-e-Wafa OST By Rahat Fateh Ali Khan

Kaise Manu Hai Tu Juda Mujhse
Soch Kar Dil Nidhal Hota Hai
Tu Nahi Samne Magar Phir Bhi
Dil Mein Tera Khayal Hota Hai

Teri Aik Adaa Ke Naam Kiya
Sab Ehd e Wafa Ke Naam Kiya
Sab Ehd e Wafa Kay Naam Kiya

Aankhon Ke Dar Par Baithe Hain
Kuch Yaar Purane Aur Ik Tum
Dil Se Ho Kar Guzre Mere
Wo Beete Zamane Aur Ik Tum

Teri Aik Adaa Kay Naam Kiya
Sab Ehd-e-Wafa Ke Naam Kiya
Sab Ehd-e-Wafa Kay Naam Kiya

Yaaron Ke Sukh Bhi Aur Gham Bhi
Teri Yaadon Ke Ye Mosam Bhi
Aankhon Mein Utra Ye Naam Bhi
Yeh Rasta Bhi Aur Hamdam Bhi

Tu Lagta Hai Pyara Itna
Is Mere Dil Mein Hai Jitna

Teri Aik Adaa Ke Naam Kiya
Sab Ehd-e-Wafa Ke Naam Kiya
Sab Ehd e Wafa Kay Naam Kiya

Jeene Ki Baat Se Yaad Aaya
Kis Haal Mein Tum Rehte Ho Ge
Jo Keh Sakte The Bus Mujh Se
Kis Ko Ja Kar Kehte Ho Gay

Ek Dil Hi Bacha Tha Pass Apne
Wo Bhi Hum Haar Ke Aaye Hain
Ek Tere Honton Ke Sadke
Sab Khushiyan Waar Ke Aye Hain

Rang Aankhon Ka Teri Yaadon Sa
Woh Lehja Teri Baaton Ka
Wo Khushbu Tere Aane Ki
Wo Dhaga Tere Waadon Ka

Tu Lagta Hai Pyara Itna
Is Mere Dil Mein Hai Jitna

Teri Aik Adaa Ke Naam Kiya
Sab Ehd e Wafa Ke Naam Kiya
Sab Ehd e Wafa Kay Naam Kiya

[To download or listen mp3  Ehd-e-Wafa ost click the download button]








No comments: