Deewangi OST

 








Deewangi OST

Pehlay tha churaya jo

Ghar tha phir banaya jo

Dil wohi kyu tor bhi diya hai

Dard ye uthaya jo mushkilo se paya jo

Phir usi ko chor bhi diya hai

Laga galay juda kiyaa

Tu ye bata thi kesi ye deewangi


O bewafa teri deewangi deewangi

Haan o bewafa teri deewangi deewangi

Haay deewangi deewangi


Aansuo me gham mila ke

Tumko mera dil dukha ke

Kya mila hai ye btaa mujhe

Aansuo me gham mila ke

Tumko mera dil dukha ke

Kya mila hai ye btaa mujhe


Ye narazgi kese dil se mere jaayegi

Teri baat be-asar lagi

Pehli barish ke jaise kitna ye rulaegi

Jaaney kis ki hai nazar lagi

O bewafa teri deewangi deewangi deewangi


Me yun khafa to nahi

Magar gila hai mujhe

Kyu bewafa se koi wafa kare


Rakha hua qaid mai hai uske mann mein kahi

Usey kaho dil mera riha kare

Apna bana, kiya fanaa

Tu ye bata thi kesi ye deewangi

O bewafa teri deewangi deewangi

Haan o bewafa teri deewangi deewangi

Haay deewangi deewangi


Hai honsla dard ka

Jo sah raha hai mujhe

Ke mere gham ki bhi inteha hui

Tere bina guzar ke jiyenge kaise bhala

Ye zindagi to be-wajah hui

Kyu is kadar rula diya

Tu hi bata ye kesi ye deewangi


O bewafa teri deewangi deewangi

Hmm o bewafa teri deewangi deewangi

Haay deewangi deewangi


Aansuo me gham mila ke

Tumko mera dil dukha ke

Kya mila hai ye btaa mujhe

Aansuo me gham mila ke

Tumko mera dil dukha ke

Kya mila hai ye btaa mujhe


Ye narazgi kese dil se mere jaayegi

Teri baat be asar lagi, be asar lagi

Pehli barish ke jaise kitna ye rulaegi

Jaaney kis ki hai nazar lagi, nazar lagi

O bewafa teri deewangi deewangi deewangi


Na rooh thi jism mein

Na ankh mein khwab the

Jo mar chuka hai usi ko maar de

Teri wafa matlabi nazar mila kar mujhe

Tu apni garz ke juye mein haar de


Jala ke dil, bhuja diya

Tu ye bata thi kesi ye deewangi

O bewafa teri deewangi deewangi

O bewafa teri deewangi deewangi

Haay deewangi deewangi










No comments: